anybody help me in making essay on   ""natikta ki samasya'"

 Aaj pratidin dekhne me, sun ne me, samachar patron me padhne se ye anubhav ho raha hai ki aaj mantri se lekar IAS adhikari bhrashtachar me dube hai. Bhrashtachar ke kaaran sarkar nahi chal pa rahi hai. Abhi doorsanchar mantralay me arabon rupaye ke ghotale ka pata chala hai jo ek warsh ka raksha budget hota tha. Abhi kuch maah pahle Arvind Joshi dampatti ke yahan ghar par croreon rupaye bistar me chipe paaye gae. Kaaran spasht hai ki bhotikta ki chakachowndh me naitik mulyon me girawat aati ja rahi hai.

 

Lal Bahadur shastri aur Atal Bihari Bajpayee aise neta the jo naitik mulyon ko mahatwa dete the. Par aaj antaraaatma ki aawaj na sunkar kewal bhotik suvidhaaon ki or dhyaan diya jar aha hai.

 

Har khadya padarth jaise besan, dal, mirch, ghee, khoya me milawat hi aa rahi ahi. Wyapari warg atyadhik munaafe ke pralobhan me naitik mulyon ko talanjali de rahe hai.

 

Aaj naitik mulyon ke aabhav meparivaar toot rahe hai. Pahle naitik mulyon ke kaaran sanyukt parivaar ke kaaran sabhi ikattha rahte the.

 

Aadhyatmikta ka arth kisi vishesh sampraday se nahi hai, aadhyatmikta ka arth hai apni antaraatma ki aawaz ke anusaar kartavya paalan karna. Gandhi Ji ne jeevan bhar naitik mulyaon ko apne jeevan me sthan diya. Wo har kkam apni antaraatma ki aawaj ke anusaar karte the.

 

Yadi jeevan me ucch aadarshon, naitik mulyon ko mahatwa diya jaye to parivaar se lekar samaj evam samaj se lekar rashtra tak har chetra me chahunmukhi vikaas kar sakta hai. Aaj nyayalay bhi naitik mulyon ke aabhav me vsahi nirnay dene me asamarth hote jaa rahe hai.

 

Naitik mulyon ke aabhav ke karan wyakti ke charitra me girawat aati ja rahi hai, aaj apradhon ka graph har warsh badhta jaa raha hai. Chori dakaiti, hatyaaen isliye ho rahi hai kyunki wyakti swayam ke jeevan me ucch aadarshon, naitik mulyon ko jeevan me sthan nahi de paa raha hai. Isliye  bacchon ko aaj acche sanskaaron ki nitaant aavashyakta hai Charitra se, vyawahaar se bacchon ke saamne naitik mulyaon ka udahran prastut hota hai.

 

Aaj ke bacche hi kal ke bhavishya hai, attah shiksha ke saath saath naitik mulyon ko jeevan me sthaan de. Parivaar bacchon ki pratham paathshala hai attah har maata pita ko swayam ka aacharan shuddha, saral, pavitra aur maryaadapurna rakhna chahiye. Aaj jo sanskaar bacchon me sthapit honge wo hi aage chalkar desh aur samaj ke, parivaar ke vikaas me sahayak honge.

 

Imaandaari, satyata, vivek, karuna, pralobhano se door rahna, pavitrata ye naitik mulyon ke aadarsh tatwa hai, in aadarshon tatwon se jeevan me aadhyatmikta ka janma hota hai. Ek aadarsh parivaar ya desh ke sanchalan hetu parivaar ke sabhi sadasyon, ya desh ke sabhi naagrikon me shihtachaar, sadachaar, tyaag, maryaada, anushasan. Parishramki aawashyakta hai. Yadi jeevan me shihtachaar, sadachaar, tyaag, maryaada hai to parivaar me shaanti rahegi. Yadi pariwaar ya rashtra me swarth lolupta, pad lolupta bani rahegi to parivaar bhi tootega, rashtra bhi bhrashtachaar se pradushit hota rahega. Isliye ahambhaaw tyaagkar, pralobhanon se door rahkar apne wyaktigat jeevan me vinamrata, tyaag, propakaar ko jeevan me sthaan dena hoga tabhi ham ek aadarsh parivaar ka srijan kar sakte hai, ek aadarsh aur khushhaal rashtra ka sapnaa sakaar kar sakte hai.

 

 “Yadi aapka charitra accha hai to aapke ghar me shaanti rahegi, yadi aapke parivaar me shaanti rahegi to samaaj me sahaanti rahegi, yadi samaaj me shaanti rahegi to rashtra me shaanti rahegi.”

 

  • 12

hit thumbs up if you like it n if its helpful....

  • 3

nice essay

  • -1

 Raely the family is a first true school of the child

  • 1
So booooooooooorr yarr
  • 0
Yes i help you
  • 0
yes I can help you
  • 0
What are you looking for?