lokokit ka arth wakay sahit(meanings nd sentences)

1.adhjal gagari chalkat jaae

2.aam ke aam ghothleyoon ke daam

3.ak aur ak gyarah hoote hain

4.jis ki laathi uski meins

5.khodaa pahard nekla chuheyaa

these r the difficult among rest of...plz help.

(1)  adhjal gagri chhalkat jay=(kam gudon wala vayakti bahut dikhawa karta hai)-suresh ko dekho ,apne ko aalim phajil samajhta hai parantu wastaw main use aata jata kuchh nahi ! ise kahte hain adhjal gagri chhalkat jay !!

(2) Aam ke aam ghutliyon ka daam=(dohra labh)-main office ke kaam se haridwar gaya aur ganga ji main snan bhi kar aaya !ese kahte hai aam ke aam ghutliyon ke daam !!

(3) ek aur ek gyarah hona=(sangathan main sakti hona)-satish ke sabhi bhai milkar ek sath vayapar karte hain isliye unhe bahut labh hota hai ! ise kahte hai ek aur ek gyarah hona !

(4)  jis ki lathi uski bhains=(saktishali vayakti apni adhikar jama leta hai)-mill malik ne majduron ki jhuggiyan tudwa di aur unki jamin per kabja jama liya aur mejdur kuchh nahi kar sake kyon ki malik ke paass takat aur paisa tha uar majdur ke pass kuchh nahi ise kahte hain ji ki lathi uski bhains !

(5)  khoda pahad nikli chuhiya=(bahut prayatn karne per bhi labh kam hona)-usne apne mal ka itna vigyapan diya prantu bikri hui kul teen sau rupye ki  ! ise kahte hai khoda pahad nikli chuhiya !!

  • 3
What are you looking for?